How To Apply Online for SBI atm, debit card? [Hindi]

SBI ke liye online atm form kaise bhare. aaj aap iss post me janenge ki online sbi atm card apply kaise kare. Aap aaj kal banking se jude apne bahut se kaam internet ki madad se online kar sakte hai. online banking ne humare kaam ko kafi aasan bana diya hai. chaliye jante hai ki sbi atm card ke liye online apply kaise kare.


sbi atm card apply kaise kare.


एटीएम / डेबिट कार्ड क्या है?

waise aapko pata hi hoga ki atm card yaa debit card kya hota hai. lekin agar aap iske baare me nhi janate hai to mai aapko batata hu. ATM card ek aisa card hota hai jo aapke bank se issue ki jati hai aur aap iss card ke help se ATM machine (Automated Teller Machine) se paise withdraw karte hai. Debit card ka matlab ek aisa card jisase aap online yaa swiping machine ke jariye payment kar sake hai. 

waise generally atm aur debit card dono same hota hai. atm/ debit card ke help se aap apne bank account se easily money transfer, cash withdrawal kar sakte hai.




SBI ATM (Debit Card) Online Apply कैसे करें?

SBI atm form kaise Bhare Online

अगर आपको एटीएम कार्ड के लिए अप्लाई करना है तो नीचे दिए गए स्टेप्स को फॉलो करें. 

1. sabse pahle https://onlinesbi.com par jaye aur apne Account me log-in kare.  

2. apne sbi account me Login karne ke baad e-Services option par click kare.

3. iske baad aapko left-side me ATM Card Services ka option dikhega, uss par click karna hai.

4. Fir 'Request ATM/Debit Card' ke option par Click Kare.

5. iske baad aapko OTP yaa profile password ke jariye apna account validate karna hai. agar aap OTP se validate karna chahte hai to OTP aapke Mobile number par aayega.


6. Next, Screen me -Account Number Select karna hai.
*iske baad 'Name on Card' me apna Name Enter kare.
*fir 'Select Card of Type' me apna card type Select kare.
*last me 'I Accept terms' par tick karke Submit par click kare.


* Agale screen me apni Details Check karke 'Submit' par Click kar de. Aapne ATM/Debit card ke liye Successfully Apply kar diya hai.


Apply karne ke baad 2- 3 week ke andar aapka card aapke ghar par pahuch jaayega. iske baad aapko apna card Activate karna hoga. 




SBI ATM/ Debit Card Activate Kaise Kare?

टीएम कार्ड activate करना-

ATM Activate karne ke liye apne account me login kare fir e-Services >> atm card services>> new card activation option par jaye.

new card activation par click karne ke baad aap apna atm card number enter kare aur activate par click kare. isase aapka card activate ho jayega.


*Agar aap chahe to apne bank me jaker bhi apna atm card activate kar sakte hai.



Aapne sikh liya ki sbi atm, debit card ke liye online apply kaise kare. Aur atm /debit card ko active krna bhi aapne jaan liya. isase aap samajh gaye honge ki online atm /debit card apply karna kitna aasan hota hai. aur aap ghar baithe apna atm card bana sakte hai.



Tags: visa card, master Card, atm card online registration, sbi atm form kaise bhare, application for atm card in hindi, online sbi atm apply kaise kare.
SBI ATM (Debit Card) Online Apply कैसे करें SBI ATM (Debit Card) Online Apply कैसे करें Reviewed by VK Singh on January 30, 2020 Rating: 5
Powered by Blogger.